Hariyali se dhaki un galiyon mein
Humne bhi ek jahan banaya tha
Ek chote se kamre mein
Duniya ke har sukh ko paaya tha
Yaaron ke saath bitayi thi kai shaamein
Tanhaiyon mein thandi hawaon ko apnaya tha
Bin vajah kiye the jahan jhagde
Phir gale lag, ek dusre ko manaya tha
Har baat pe hasi
Har cheez mein shararat
Har pal ek naya khwaab sajaya tha
Us kamre ki woh choti khidki se
Humein ek naya aasmaan nazar aaya tha
Shayad khud hi ko khokar
Humne wahan ek naye main ko paya tha
Humne bhi ek jahan banaya tha
Ek chote se kamre mein
Duniya ke har sukh ko paaya tha
Yaaron ke saath bitayi thi kai shaamein
Tanhaiyon mein thandi hawaon ko apnaya tha
Bin vajah kiye the jahan jhagde
Phir gale lag, ek dusre ko manaya tha
Har baat pe hasi
Har cheez mein shararat
Har pal ek naya khwaab sajaya tha
Us kamre ki woh choti khidki se
Humein ek naya aasmaan nazar aaya tha
Shayad khud hi ko khokar
Humne wahan ek naye main ko paya tha